Jisse kar chukka tha main dafn
Kyun wo phir se zinda ho chala
Ho gayi thi jis dard ki saansein khatm
Kyun laut aaya hai phir woh gila
Hai shikan peshaani pe daag ki tarah ab jadi si
Yeh aah hai shayad meri rooh ki jo arsse se thi gadi si
Koi cheelta ho jaise zakhmon ki paratein
Yaad karne pe us qahar ka ahsaas yun bhi hota hai
Kahin dah gaya qaba jaise ruk gayi ibadatein
Baad marne ke kya zahar ka ahsas yun bhi hota hai?
firaaq –e-aman mein chain kahaan Qaatil ko
Dozaqh nahin use bas talaash hi haasil hai
khoon-e-maasoom se sane haath dua mein uth jaaye to
woh qayamat kya kisi deen ki manzil hai?
No comments:
Post a Comment