Friday, October 19, 2018

Patriarchy



Sometimes I wish I could cry as easy as you
On days when life is punching me in the face and gut
I stand there hitting back; ducking and tiring it out
There's little or no place that has been kept to scream
To let it all out of my chest
All that remains afloat is a heavy smile
Like the curse of ancestors you can't erase from your being

Thursday, July 05, 2018

Kuch Barso ka Gubbaar

Hua Baar baar
Sab Taar Taar

Kuch din ki thakaan
Kuch Barso ka Gubbaar

Saans lene bhar ki fursat nahi kahin
Daaman mein kisike bhi hain koi shaqs beqaraar

hai kismaton ki baazi daftaron mein
aur mehfilon mein dilon ka kaarobar

Hua Baar baar
Sab taar taar

Ummeedon ki chaddar odhe mile aksar
Toote hauslon ko sajaate hasraton ke haar

boli to har shay ki lagti hai is shaher mein
wafaa ke daamon pe hi kaayam hai yahaan rishton ke bazaar

Bas ab main hoon aur kuch qisse
dil mein haqeeqat aur pannon pe riste behte lafz beshumaar

Hua baar baar
Sab Taar taar

Kuch din ki thakaan
Kuch Barso ka Gubbaar

Search This Blog