Thursday, April 11, 2013

dar ba dar

















dar ba dar, shab ba shab safar raha mera
lab ba lab, harf dar harf hashr raha mera

na chaha tha afsaano mein zikr
na jaani thi koi mustaqbil ki fiqr

behta, kuch kehta guzra aksar main mehfilon se
na ruka na thama ek dhadkan ki awaaz sunaayi dene ko

ruba ru jo hue tum to kya ilm tha ke ishq aise tarer lega
na dekh paaoonga beete raste na sahil hi samet lega

hue daakhil aakhir kyun zehenn mein
ab na raho to sukoon nahi aur na hi jaane pe junoon le jaate ho
bataao maajra kya hai, kyun dil ki baazi pe mera daanv lagaate ho

kehne ki baat hoti to, shabdon mein dhaal ke badh jaate
ahsaason ke kaarwaan mein ab hasratein chal rahi hain khoyi si

khwaabon ke raste rok ke ummeedon ka saath thama
sambhal jaata yun to main gar har qadam sawaalon se jaan dushwaar na hui hoti

ab to meri kashmakash bhi tujhpe aitbaar karti hai
apni hoti to nibhaate har mushqil ab tere intezaar ka dam bharti hai

laut jaate tum bewafa hoke to qarrar aata
is saadgi se kyun tum  meri jaan ko giraftaar kiye baithe ho

No comments:

Search This Blog