Tha shayad junoon ya khel koi, sab samajhe ke pyaar tha
Khayalon mein sawaal liye chalta raha dil mera beqaraar tha
Har aahat uski sunke dhadak jaaya karta, jaane chahat pe kyun na iqtiyaar tha
Kuch lamhein khamosh se, kuch hansi se goonjte hue, har kadam pe uska intezaar tha
mila jo woh toh shartein apni chod gaya, mera naseeb uska karobaar tha
karta raha main bekhud hi uski marzee, apni khushi mein mile uska gham is baat se mujhe inkaar tha
bozhil safar ho gaya kuch durr, main kya bataata usse ke tujhse milne se pehle main kitna khush gawaar tha
Badhtha raha hoon main us raaste pe humsafar dhoondne jahaan ajnabiyon se hi sarogaar tha
Aaj tuta jaise saaz koi, sailaab aaya jo armaanon ka, na kashti, na koi nakhuda, main beech majhdhaar tha
Haath chutt gaye aur na alvida kiya, lab bhi na khule, ek aansoo keh gaya main kitna bezaar tha
Maanta hoon woh manzil nahin tha meri, to kya hua ke woh aur kuch na ban saka, woh saathi nahin tha par phir bhi mera yaar tha
Rukke poocha khuda se yeh bataa kya meri tamaam umra ki mehfil, meri tamanaon khushiyaan ka har pal tere liye koi tamaasha - ek hasraton ka bazaar tha?
Baraste aasmaan ki boondon ne chua, chedte hue suna gayii ke teri talash ek awaara pan hai, safar hi tera maqsad hai - saath nahin, tu hamesha se hi khaakgaar tha

No comments:
Post a Comment